Acne Ka Ilaj – Chehray Ke Danon Ki Wajah, Iqsam Aur Asar Daar Treatment

Chehre ke Daane (Acne) – Sab Kuch Jo Aap Ko Maloom Hona Chahiye Acne-Free Skin Ka Raaz — Sebum Control, Topical Care aur Natural Tips ke Sath! Acne yaani chehre ke daane ek aam lekin pareshaan kun masla hai jo har umr ke logon ko mutasir kar sakta hai. Yeh masla sirf chehre tak mehdood nahi, balkeh peeth, gardan aur seene par bhi ho sakta hai. Agar aap bhi is maslay se tang hain, to ye post aap ke liye hai. Hum is post mein baat karenge acne ke types, causes, treatment aur daily routine ke uss tareeqay ka jo aapki skin ko behtari ki taraf le ja sakta hai. Acne Hone Ki Wajahaat Hormonal imbalance (zyada tar jawani mein) Oil (sebum) ki zyada paidaish Band pores (dead skin aur oil ki wajah se) Bacteria (Propionibacterium acnes) Stress, ghalat diet, oily creams ya makeup products ka istemal Acne Ki Types – Detail Ke Sath Acne ko mukhtalif grades mein divide kiya jata hai: Mild Acne: Ismein whiteheads aur blackheads shamil hotay hain. Yeh un pores m...