Diabetes ya sirf sugar ka doubt? – Ghar bethay pehchan, test aur ilaj
Sehatmand ghiza aur rozana exercise — diabetes control ka sab se behtareen tareeqa Diabetes kya hoti hai? Diabetes ek aisi bimari hai jisme body ya to insulin banati nahi, ya usay sahi tarah use nahi karti. Insulin ek hormone hai jo blood sugar ko control karta hai. Jab yeh system kharab ho jaye to sugar blood mein jama hoti rehti hai, aur time ke sath bohot si health problems ka sabab banti hai. Diabetes ki mukhtalif types Type 1 Diabetes: Yeh aksar bachpan ya jawani mein hoti hai. Ismein insulin lena zaroori hota hai. Type 2 Diabetes: Sab se zyada common type hai. Zyadah tar logon mein badhne wali age, motapa, aur lifestyle ki wajah se hoti hai. Gestational Diabetes: Yeh pregnancy ke doran hoti hai aur kuch aurton mein temporary hoti hai. Diabetes kitni aam ho chuki hai? Pakistan aur India dono mein diabetes kaafi tezi se barh rahi hai. Har teesra banda risk mein hai. WHO ke mutabiq, South Asia mein 77 million se zyada log diabetes ka shikar hain. Life...
Comments
Post a Comment